Monday, February 2, 2015

Internet Se Aadhar Card Kaise Downlode kare

Dosto pichale ek hi post me Aapne Seekha Aadhar Card kya hai. Aadhar card kaha banbaye Aadhar Card kyo  jaruri hai, Aaj Aap es post se seekhege ki Enrolment slip dwara Aadhar Card kaise download karte hai.

Aap yaha neeche Get E-Aadhar batan par click kar Aadhar Card download karne ki Sarkari Website par jaye.
Stap 1 Se 4 tak kee jaankari apne Enrolment slip par dhek kar type kare-

1. Enrolment Number/Aadhar Number:- Yaha par apna Enrolment  slip number type kare.
2. Ab yaha par date aur samay sahi se type  kare.
3. Full Name:- Yaha par apna pura name type kare.
4. Pin code:- Yaha  par Pin code type kare.
5. Enter Above Image Text:- Es stap me upar photo Image# me dikhaya gaya code Type kare.
6. Mobile Number:- Yaha par apna mobile number type kare.
Agar slip par mobile Number Nahi hai to koi naya mobile number bhi type kar sakte hai.
7. Ab Get One Time Password ki batan par click kare.
8. Enter OTP:- Yaha par Mobile Par Massage me aaya huaa OTP Code Type kare.
9. Ab Validate & Downlode ki batan par click kare.

Ab dekhiya aapka aadhar Card Downlode hona shuru ho jayega.

Aapka aadhar card hamesha PDF File me Downlode hota hai.

Ab Downlode huye Aadhar Card ki PDF File par click karne par aapka aadhar Card khulane lagega, khulane se pahle aapse Password Puchega, Waha par Apna Post Office ka Pin Code Type kare.

Enrolment Slip Dwara Aadhar Card Kaise Downlode karte hai Video Dekhe-

Ab Aap seekh chuke hai ki Enroment Slip Dwara Aadhar Card Kaise Downlode Karte hai.