Thursday, December 17, 2015

Blogger par new Template Uplode kare aur backup le

Blogger par blog banana bilkul aashan hai, pihale post me aapne seekha ki Blogger par Muft Blog kaise banate hai aur aapne blog bana bhi liya.
Blog banakar aapne apne Blog par achhi-acchi post bhi daal di hogi, lekin aap ki post tak kucch log hi pahuche y a bilkul nahi pahuche to post daalne aur blog banana ka kya Fayada.
Blogger par templete Uplode kare ya badale

Aapke blog aur Blog post ko search Engin tak pahuchaane me aapki blog Tempalete SEO Friendly, Mobile Friendly aur Responsive bhi hona chahiye, jisase koi bhi Google me search kare to aapka blog bhi search engine me aaye aur Mobile me bhi acchi tarah se aapka blog dikhe.

Blogger par Tempalete (Dijayan) Uplode kare.
Blogger.com par jaye aur Login karke Blog Dashbord par jaye-
 Blogger Templete ka Backup le aur New Blogger templete Uplode kare

1. Blogger dashboard me Tempalete par click kare.
2.Backup/Restore ki batan par click kare, ab ek naya Popup page khulega.
3. Downlode Full Template par click kar apni purani blog ka template Downlode kar le, Agar maan lo hamari new template me koi dikkat aaye to hamapni purani Template (Dijayan) ko Uplode kar sake.
4. Ab Choose File par click kar naya template apne computer se select kare, Blogger Template .XML Farmet me hoti hai vah Select kare.
5. Template select karne ke baad Uplode  batan par click kar Template Uplode kar de.


Ummed karta hu ki ab aap Blogger par Template Uplode karna seekh gaye honge agar phir bhi koi Prablam hai to Comment kare hame aapki Madad karne me khushi hogi.

Saturday, December 5, 2015

Computer se YouTube par Video Kaise Uplode karte hai

Internet ki duniya me paisa kamane ka sabse accha tarika YouTube hai, ham YouTube Par Channel banakar us par video Uplode karkr Acchi kamai kar sakte hai, lekin sirfh Channel banana se kamai to hone wali nahi jab tak us par video na Uplode kiya jaye Aur YouTube Channel ko Adsens Account se na joda Jaye, to aaj ham seekh lete hai Youtube Par computer se Video kaise Uplode kare.
            Naya Email Account Kaise Banaye

Youtube Par Video kaise Uplode kare
Step-1
1. Youtube par video Uplode karne ke liye sabse pahle Youtube.com par jaye Aur Sign in batan par click kar Login kare.
2. Apna Email aur Password Daale.
3. Ab Sign in batan par Click kare.
4. Ab UPLODE batan par click kare.
Step-2
1. Youtube par video Uplode karne lke liye Select File to Uplode par click kare, usake baad video Uplode Hona Shuru Ho jayega
2. Agar aap ko koi video Google Plas par hai to aap Usako Seedhe YouTube par daal Sakte hai.
3. Webcom Capture se aap Direct apne Webcom Camera Se Video Recard kar ke Youtube par daal sakte hai.
4. Photo Sideshow se aap apni manpasand Photo ka SlideShow Bana kar Youtube par daal Sakte hai.
5. Youtube Par jo Video Pahle se Aapne daal rakhe hai Unhe aap Edit kar sakte hai.

Aap Youtube Par Video Apne Computer Se Drag Aur Drop kar ke bhi Youtube Par video Uplode kar Sakte hai, Aur Video Uplode hona Shuru Ho Jayega. (Neeche Photo Dekhe)
Step-3
Jaise Hi aap apna Video Youtube Par daalege Ek naye Pej Khulega, jab Tak aapka Video Pura na ho jaye Tab tak yah page band na kare.
1. Jis Video ko aap Uplode kar rahe hai. Vah Kitane Pratishat huaa hai yaha bikhaya jata hai.
2. Yaha par Aapko Apne Video ka Tital dalana hai.
3. Yaha Par aapke Video me kya hai ya video kis bare me hai yah Type kare.
4. Aap ka video kis se Releted hai yaha Tag bhi kar sakte hai.
5. Jab Aapka Video Pura Uplode ho jayega to yaha par 3 Image dikhai Jayegi uname se Jo photo aap Video play Hone se Pahle dekhana chahte hai vah select kare, aap Custom Thumnail par click kar apne computer se new photo Bhi Uplode kar sakte hai.
6. Agar aap chahte hai ki aapka video puri duniya dekhe to Yaha par Public hi rahne de, aur Agar aap ka Video Parsanal hau ya aap sabhi ke saath Share Nahi karna chahte to Private kar de.
7. Yaha se aap Video ko seedhe Google+ aur Twitter par share kar sakte hai.
8. Es step me aap apne Video ki New Playlist bana Sakte hau aur Video ko Playlist ke saath jood sakte hai.
9. Youtube par Uplode Huye Pure Video ki Jaankaru Bharane ke baad Publish ki batan par click kar de, Ab aapka Video Youtube Par Aa Gaya hai.
10. Apne Youtube Channel Par Uplode Huye sabhi video ko dekhane ke liye yaha click kare.
11. Yaha par click kar aap Aur bhi Video Youtube par Uplode kar sakte hai.

Dosto Aaj Aapne Seekh liya ki Youtube par video Kaise Uplode karte hai, Aage ham seekhege ki youtube par video Banakar Uplode kar Paise kaise kamate hai.

 Aapko yah Jaankari kaisi lagi hame Comment kar ke Jarur Bataye.

Wednesday, December 2, 2015

Paypal Par Account kaise banaye

Internet ki dunia me online payment ya bhugtaan ham paypal ke dwara aashani se kar sakte hai, esaki madad se aap computer, mobile, tablate se ghar baithe aashani se kisi ko payment bhej aur prapt kar sakte hai. Ab tak paypal 180 se bhi jyada desho me online bhugtaan karne ka tarika ban gaya hai, paypal ki shuruaat Polp Alto ne december 1998 me ki thi, es post me ham batayege ki aap paypal par individual account kaise banate hai, es account ko koi bhi aashani se bana sakta hai.

Agar aap online bussing karte hai ya aapki blog ya websit hai to aapka payment prapt karne ke liye paypal account hona bahut jaruri hai.
                            Payumony kya hai payumoney se rupaye kaise kamaye-

Paypal par individual account banana ke liye kya kya hona chahiye ?
2. Mobile number
3. ATM card ( ATM card nahi hai to bhi aap payment bhej ya prapt kar sakte hai)
4. Bank account
5. Pan card ( agar aap paypal account ka estemaal rupaye sent karne ke liye karna chahte hai to jaruri nahi )

Paypal Account kaise banaye ?
Stap:-1
1. Paypal account banana ke liye sabse Pahle Paypal.com par jaaye.
2. Ab Sign Up batan par click kare.
3. Individual account par click ka gola banaye.
4. Ab Continue Batan par click kare.
Stap:-2
1. Apna Naam type kare.  –  Pen Card me jo aapka naam hai vah type kare.
2. Apni Date of birth type kare.
3. Apni Nationality Selecy kare.
4. Apna Address type kare.
5. Apna Mobile Number Type kare.
6. I agree to receive marketing communications from PayPal. I can change my notification preferences at any time me click kar tik ka nishan lagaye.
7. Agree and Create Account par click kare.
7. Agree and Create Account par click kare.
8. Apna Debit ya Credit Card ki detail type kare. – Agar Aapke paas Debit ya credit card nahi hai to option 10,11 kare.
9. Link Card par click kare.
10. I’ll link my Card leter par click kare
11. Ab yes, skip it par click kare.
Ap aapne Apna Paypal account bana liya hai, ab aapko apna Email acoount verify karna hai usake liye apna email account khole Aur Welcome to Paypal! Active Your account now ka email khole.
Ab Yas This is My Email Account par click kare.
Apna Paypal Password type kare aur Confarm Email Address par click kare.  Ab aapke samane Aapka Paypal Account Khul jayega.

Ab Aap Apna Paypal Account kaise banaye yah seekh chuke hai, Agar aao ko ab bhi Paypal account banana me Prablam ho rahi hai to hame Comment kare. Hame Aapki madad karne me khusi hogi.

Dhyaan de Abhi Aap kahi bhi paise bhej ya prapt nahi kar sakte usake liye Aapko apna Pen Card Aur Bank Account Paypal khat me Jodana hoga, Agale Post me ham janege ki Pen card kaise jodate hai aur bank account kaise link karte hai,

Tuesday, November 24, 2015

Naya Youtube Channel Aur Mulipale Channel kaise banaye

Youtube Internet Par Top Video Sharing Website me ek hai, jo 14 February 2005 me lanch hui thi. Ab kuch hi saalo me lagbhag 200 karod log youtube par video dekhane aate hai. Yaha par ek din me yani 24 gante me jitane video Youtube Par Uplode Hote hai agar ham unhe dekhe to 10-12 saal video dekhane me lag sakte hai, Youtube par lagbhag 25% log mobile se youtube par video dekhane aate hai.
Naya Youtube Channel Aur Mulipale Channel kaise banaye
Youtube par karodo log apna youtube Channel banakar aur us par video uplode kar aur youtube Channel ko Adsens account ke saath Jod kar hajaro lakho rupaye mahina kmte hai.

Youtube par account banana bilkul aashan hai, kyoki Youtube Bhi Google ki sarvish hai, jo hamari Gmail Id se hi Login Hoti hai.

Youtube Par Naya Channel kaise banaye Aur Channel Banane Ke liye Kya hona chahiye ?
Youtube Par Channel banana bilkul aashan hai, Youtube Par channel banana ke liye aapke paas ek Google Khata yani Google Par ek Email khata hona chahiye, Yaha Click kar jaane Google Par E-mail account kaise banate hai.
Step 1. Youtube Channel banane ke liye sabse pahle apne Gmail Account me Signin Kar le.
Step 2. Ab Create A New Channel par Yaha Click kare.
Step 3.Ab ek Chota sa Form Khulega.
Youtube Channel banane ke liye yah form Fill kare

1. Apne New Youtube Channel ka naam Type kare.
2. Youtube Channel ki Catgary Select kare.
3. Page Terms Padhkar tik kare Aap yaha click kar Page Terms baad me bhi Padh Sakte hai.
4. Ab Done ki batan par click kare.

Done Batan par Click karte hi aapka naya Youtube Channel ban Jayega

Ab Aapka Youtube Channel ban gaya hai

Ab Aapka Youtube Channel ban Gaya hai

Multipal Youtube Channel Kya hai aur kaise banaye ?
Ek Email Id Se EK se Adhik Youtube Channel Banana Maltiple Youtube Channel Kahlata hai, esaka fayada yah hota hai ki ham ek hi Account se Apne Sabhi Channel Updete kar sakte Hai.
Step 1. Gmail Account yani Google Account me Signin karle.
Step 2. Multipal Youtube Channel banana Ke liye Youtube Channel Swicher me yaha click kar jaye.
Step 3. Create A New Channel ki batan par click kare.
Note – Agar Aapka Pahle se Google+ Page hai Aur Aap Ushi Naam ka youtube Channel Banana Chahate hai to us par click kar Youtube Channel Bana sakte hai.

Step 4. Ab ek Chata sa Form Khulega.
Yah Form Bharkar Multipal Youtube Channel banaye

1. Apne New Youtube Channel ka naam Type kare.
2. Youtube Channel ki Catgary Select kare.
3. I agree to the Pages Terms Par tik kare.
4. Ab Done ki batan par click kare.

Done Batan par Click karte hi aapka Multipal Youtube Channel ban Jayega


Dosto Aaj Aap Ne Seekha Naya Youtube Channel ya Multipal Youtube Channel kaise banate hai. Agar Aap ko ab bhi Youtube Channel banane me koi Problam ho Rahi hai to hame Comment kare.

Thursday, July 2, 2015

Internet Se Naam Dwara Aadhar Card Kaise Downlode kare

Internet se aadhar card downlode karne ke liye aapka mobile Number ya Email Rajister honi chahiye.
Agar aapka Email  ya Mobile Number Rajister nahi hai to aap apna aadhar Card nahi Downlode kar sakte.
Ab tak aap pichale post me seekh chuke hai Aadhar card kya hai aur kaha Banbaye ? aur Enrolment slip Dwara Aadhar Card kaise downlode karte hai, es post se aap seekhege apna Aadhar card Number kaise pata kare aur Aadhar Number se Aadhar card kaise Downlode kare.
Agar aapko apna aadhar number malum hai to Step 1 na karke Seedhe Step 2 kare.

Step 1:- Apna Aadhar Card Number kaise Prapt kare ?

Internet se Naam dwara Aadhar Card Downlode karne ke liye Aadhar Number Malum hona bahut jaruri hai, Aap yaha neeche Batan par click kare aur Aadhar Card Downlode karne ki Government Website par Jaye.
1. Aadhar No (UID):- Yaha par Aadhar No (UID) ki batan par click kare.
2. FULL Name:- Yaha par apna pura naam Type kare.
3. Email:- Yaha par Email Type kare, Agar Email Rajister nahi hai to khali chod de.
    Mobile Number:- Yaha par apna mobile number typa kare.
4. Yaha par Upar Photo me dikhya gaya code Type kare.
5. Ab Get OTP batan par click kare.
Get OTP batan par click karne par aapke mobile par ek Massage aayega jisame OTP Code Hoga.
6. Enter OTP:- Mobile par aaya huaa OTP Code yaha Type kare.
7. Ab Verify OTP Batan par click kare.

Ab agale kulne bale Page Par Congratulations! Aadhaar Number (UID) has been Sent to your Mobile Number Ye Massage dikhai dega aur aapka Aadhar Number Aapke Mobile par Sent kar diya jayega.


Step 2:- Aadhar Numer se Aadhar Card Kaise downlode kare ?


Internet se Naam Dwara Aadhar Card Downlode karne ke liye ham apna Aadhar Card Number malum kar chuke hai ab ham Aadhar Card Downlode karne ke liye Yajha neeche Get E-Aadhar batan par click kare aur Aadhar Card Downlode karne ki Sarkari Website par jaye.
1. Aadhaar:- Yaha par Aadhaar ki batan par click kare.
2. Enrolment Number/Aadhar Number:- Yaha par 12 Anko ka Aadhaar Number type kare.
3. Full Name:- Yaha par apna pura name type kare.
4. Pin code:- Yaha  par Pin code type kare.
5. Enter Above Image Text:- Es Step me Upar photo Image# me dikhaya gaya code Type kare.
6. Mobile Number:- Yaha par Rajisterd mobile number type kare.
7. Ab Get One Time Password ki batan par click kare.
8. Enter OTP:- Yaha par Mobile Par Massage me aaya huaa OTP Code Type kare.
9. Ab Validate & Downlode ki batan par click kare.

Ab dekhiya aapka aadhar Card Downlode hona shuru ho jayega.

Aapka aadhar card hamesha PDF File me Downlode hota hai.

Ab Downlode huye Aadhar Card ki PDF File par click karne par aapka aadhar Card khulane lagega, khulane se pahle aapse Password Puchega, Waha par Apna Post Office ka Pin Code Type kare.

Internet se Naam Dwara Aadhaar card Downlode Kaise kare Video Dekhe ?


Aapne Seekha naam Dwara Aadhar Card internet se kaise Downlode Karte hai.


Monday, February 2, 2015

Internet Se Aadhar Card Kaise Downlode kare

Dosto pichale ek hi post me Aapne Seekha Aadhar Card kya hai. Aadhar card kaha banbaye Aadhar Card kyo  jaruri hai, Aaj Aap es post se seekhege ki Enrolment slip dwara Aadhar Card kaise download karte hai.

Aap yaha neeche Get E-Aadhar batan par click kar Aadhar Card download karne ki Sarkari Website par jaye.
Stap 1 Se 4 tak kee jaankari apne Enrolment slip par dhek kar type kare-

1. Enrolment Number/Aadhar Number:- Yaha par apna Enrolment  slip number type kare.
2. Ab yaha par date aur samay sahi se type  kare.
3. Full Name:- Yaha par apna pura name type kare.
4. Pin code:- Yaha  par Pin code type kare.
5. Enter Above Image Text:- Es stap me upar photo Image# me dikhaya gaya code Type kare.
6. Mobile Number:- Yaha par apna mobile number type kare.
Agar slip par mobile Number Nahi hai to koi naya mobile number bhi type kar sakte hai.
7. Ab Get One Time Password ki batan par click kare.
8. Enter OTP:- Yaha par Mobile Par Massage me aaya huaa OTP Code Type kare.
9. Ab Validate & Downlode ki batan par click kare.

Ab dekhiya aapka aadhar Card Downlode hona shuru ho jayega.

Aapka aadhar card hamesha PDF File me Downlode hota hai.

Ab Downlode huye Aadhar Card ki PDF File par click karne par aapka aadhar Card khulane lagega, khulane se pahle aapse Password Puchega, Waha par Apna Post Office ka Pin Code Type kare.

Enrolment Slip Dwara Aadhar Card Kaise Downlode karte hai Video Dekhe-

Ab Aap seekh chuke hai ki Enroment Slip Dwara Aadhar Card Kaise Downlode Karte hai.